Madu
02-22-2008, 08:43 PM
Humara kia hai k hum tu Chiragh-e-shab ki tarha
agar jalay bhi tu bas itnii roshni ho gi
k jaisay tund andhairoon ki rah main jugnoo
zara si dare ko chamkay, chamak k kho jayay
phir us k baad kisi ko na kuch sujhaee day
na shab kattay na suragh-e-sahar dikhai day

Humara kia hai k hum tu pas-e-ghubar-e-safar
agar chalay bhi tu bas itni rah teh ho gi
k taiz hawaoon ki zard-e-mel naqsh-e-qadam
zara si dare ko ubhray, ubhar k mitt jayay
phir us k baad na rastaa na rahguzar milay
had-e-nigah tak dasht-e-bay kinaar milay
humari simt na daikho k kuch hi dare main hum
qabl-e-dil-o-jaan say bicharhnay walay hain
basay basaayay shehar apni aankhoon kay
misaal-e-khana-e-veeran ujarhnay walay hain
hawa ka shore yaheen hai tu daikhtay rehna
humari umr kay khaimay ukharhnay walay hain .....