PDA

View Full Version : Yaadain Uski


Tahir
03-27-2006, 01:24 PM
Kis qadar kaam berha daitee hain yaadain uski
neend ankhon say ora daitee hain yaadain uski,

main nay chaha jisay usko bhi maalom nahi
mujhko dewaana banadetee hain yaadain uski,

main bhataktaa hoon agar raat k sannatay main
hosalaa or bhi berha daitee hain yaadain uski,

jab othataa hon nigahain kisi chehray ki taraf
dil main ik hashar otha daitee hain yaadain uski,

jub bhi hota hay gumaan uski rafaaqat ka
faaslay or barha detee hain yaadain uski