PDA

View Full Version : Baap


Wahab
12-13-2007, 10:40 PM
Dunya Main Aankh Kholi tau Tuje samney Payya
aankhayn Teri Nam theen per tu bohut Muskuraya

Mere Chotey se Hathoun ney teri Ungli ko dobaya
Hazaroun Baar Choom Ker tu ne Guley Se Lagaya

Azan Dey k kanoun main Muje Apney Sath milaya
Houn Main Momen, Muje is ka yaqeeen dilaya

Saal guzrey , hamesha muje seedhi rah per chalaya
Yeh Pehla Sabq Tha Jo Tu Ney Muje Sikhaya

zindagi ney muje jiss mor per giraya
sahara ban ker tu ney muje hamesha uthaya

JHoom Uth'ta Tu, Jab bhi Jeet ker ghar aaya
Haar bhi hissa hai zindagi ka, yeh bhi bataya

BHaija Dayyar e ghair Main, Judai Ka Geet gaya
Malooom hai iss gham ney bohut tuje Sataya

KHatm keroun ga sab hi Gham, Lot k jab ghar aaya
Janteen hai yeh aankhain hamein kiss kadr rulaya

Her Dua teri kam hai ik Baaap k liyeh Wahab
Poori Zindagi jiss ney tuje Palkoun Pey Bithaya


Wahab

Asma.Mir
12-14-2007, 08:02 AM
It brought tears to my eyes....

very nice