PDA

View Full Version : aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad


Shanza
12-09-2007, 07:06 PM
aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad

"aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad
gham ban gaya naseeb mera har khushi ke baad

nikla tha kaarwaan mohabat ki rah main
har mordh pe nafrat khardi thi har gali ke baad

socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan
har phool jal gaya mera bankar kali ke baad

chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar
dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad

ab raakh he samait ta hoon aashiyane ki
khud hi jala diya tha jesey aajazi ke baad

suntey hain baad marne ke milta hai sab sila
dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad