Madu
07-15-2007, 01:28 AM
Main soochti hon, janay kaisa tha zalzala
Ik shehr tha jo sara weeranay main dhal gaya
Kaheen baghban nahi hai, kahin phool hai nadard
Hai khush naseeb jis ko murjhaya pata bhi mil gaya
Daikha hai main nay aisa bhi ik badnaseeb baap
Har phool jis kay chaman ka mitti main ruul gaya
Jo bujh gayay, so bujh gayay, jo reh gayay charaagh
Unn kay liay har lafz ka maani badal gaya
(Madu)