PDA

View Full Version : log hilal-e-shaam say barh kay...


Madu
07-07-2007, 11:23 PM
Loog hilal-e-shaam say barh kar pal main mah-e-tamaam huay
hum har burj main ghat'tay gaht'tay subh talak gum'naam huay

unn logon ki baat karo jo ishq main khush anjaaam huay
bakhd main Qais, yahan per Insha, khwaar huay naakaam huay

kis ka chamakta chehra laayain, kis sooraj say maangain dhoop?
ghoor andhaira chaa jata hai khalwat-e-dil main shaam huay

aik say aik janoo.n ka maara iss basto main rehta hai
aik humeen hushayar thay yaroo, aik humeen budnaam huay

shauq ki aag, nafs ki garmi, ghat'tay ghat'tay sard hui
chaah ki rah dikha kar tum tu waqf-e-dareecha-o-baam huay

unn say bahaar-o-baagh ki baatain kar kay jee ko dukhana kia
jin ko aikk zamana guzra, kanj-e-qafas main raaam huay

Insha sahab, poo phat'ti hai, taaray doobay, subh hui
baat tumhari maan kay hum tu shab bhar bay araam huay ...