PDA

View Full Version : Najam Us Saher


Tahir
12-20-2005, 02:22 PM
Najam Us Saher

Subah ka taara hoon
Pal ka nazaara hoon

Karay na deedaar koi
Shub ka kinaara hoon

Gira chaandni kay aanchal say!
Seher ka sanwaara hoon

Hoon shab ki musaafat say choor
Umeed ka sahaara hoon

Roop hoon na singhaar koi
Manzil ka ishaara hoon

Basaaye na koi aankhon main
Akaash per bechaara hoon

Karay na dhhurti nazar
Kab main sharara hoon

Ginay shab bhur taaray koi
Main subah ka haara hoon

Sajaaye mah-o-maher jamaal naya!
Main nazar ka utaara hoon :hi: