PDA

View Full Version : Aay Matwaloo, Nakoo walo


Madu
07-04-2007, 01:58 AM
Aay Matwaloo, Nakoo walo, daitay ho kuch uska pata
Najd kay andar Majnoon nami aik hamara bhai tha
Aakhir uspe kya beeti, Janoo to ahwaal kahoo
Maut Mili ya Laila, Deewanay ka Ma-Aaal Kaho

Aqal ki bataain kehnay walay doostoon ne usay smjhaya
Us ko laikin chup si lagee thi, Na Bola na baaz aaya
Khair ab us ki bat ko choroo - Deewana phir Deewana
Jaatey jaatay hum loogoon ka aik sandees la jana

Awara Awara phirna choor kay mandli yaroon ki
Daikh rahay hain daikhnay walay Insha ka ab haal wohi
Kya acha khush bash jawan tha, janay kyun bemaar hua
Uthtay baithtay mer ki Baitain parhna uska shuwaar hua
Taur tarika Ukhra Ukhra, Chehra Peela, Sakht Malool
Rah may jaisay Khak pay koi masla masla bagh ka phool
Shaam sawairay baal bikhairay, baitha baitha roota hay
Naqoo waloo ! in logoon ka aalam kaisa hoota hay..

Apna bhi woh doost tha hum bhi paas uskay baith aatay hain
Idhar udhar kay qissay keh kay Jee uska behlatay hain
Ukhri Ukhri Baat karay hai Bhool kay agla yarana
Kaun ho Tum ? Kis Kaam se aa-aeey ? Hume na tum ko pehchaana ?
Janay yay kisne choot lagai-ee ' Janay ya kis ko pyar karay
Tumhi kahoo hum kis ko dhoondain, Aahain Khainchay, Naam na lay
Peet may aisay Jan se yaroo kitnay loog Guzartain hain
Peet main Na haq mar nahi jaatay, Peet to saray kartey hain

Aay Matwaloo Naqooo waloo ! Nagri Nagri jaatay ho
Kahaeen jo uski Jaan ka bairi mil jaa-ee yay baat kahoo
Chaak Garaibaan, eik dewana, Phirta hay hairaan hairaan
pathar se sar phoor maray ga, deewanay ko sabaar kahan
Tum chahoo to basti chooray, Tum chahoo to dasht basa-aey
Tum Chahoo to kuch din jee lay, daman see lay hoosh may aa-aey
aay matwaloo, naqoo walo - warna aik dion nyah hoga
Tum loogoon se aatay jaaty, poochain gay Insha ka pata