PDA

View Full Version : Harr Waqt ....


Umar
07-02-2007, 01:50 PM
Harr Waqt Tasavvur Mai Madinay Ki Gali Ho
Aur Yaad Muhammad(SA) Ki Meray Dil Mai Basi Ho

Do sou (200) Say Bhi Aala Aaqa Ka Milay Dard Raza Saa
SarKaar Ataa Ishq -e- Owais -e- Qarni(RA) Ho

Aay Kaash Mai Ban Jaun Madinay Ka Musaafir
Phir Roti Huee Taiba Ko Baraat Chali Ho

(Aur jab baraat Madinay mai pohanchay, tu kya ho .... kisi nay khoob kaha)

Ilahi Roza -e- KherulBashar Par Mai Agar Jaun
Tu Ik Sajda Karun Aisa K Hasti Say Guzar Jaun

Nijaat -e- Aakhirat Ka Iss Qadar Samaa'n Mai Kar Jaun
K Taiba Ja K Ik Sajda Karun Aur Sajday Mai Marr Jaun