Madu
06-26-2007, 04:43 PM
Is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana
ik naar pay jaan ko haar gaya, mash’hoor hai uska afsana!
Us naar main aisa roop na tha, jis roop say din ki dhoop dabay
is shehar main kia kia goori hai, mehtaab rukhay gulnaar labay
kuch baat thee uski baatoon main, kuch bhaid thay uskay chitwan main
wohi bhaid kay joot jagatay hain , kisi chahnay walay kay mun main
usay apna bananay ki dhun main, howa aap hi aap say baigana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!!
Na chanchal khail jawani kay, na pyaar ki alhar ghatain theen
bas raah main unka milna tha, ya phone pay unki baatain theen
is ishq pay hum bhi hanstay thay, bay-hasil sa bay-hasil tha?
ik rooz biphartay sagar main, na kashti thee na sahil tha
jo baat thee inkay jee main thee, jo bhaid tha yaksar anjana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!
Ik rooz magar barkha rut main, wo bhadoon thee ya sawan tha
deewar pay beech samundar kay, yeh daikhnay waloon nay daikha
mastana haath main haath diyay, yeh aik kagar pay baithay thay
youn shaam hoi phir raat hoi, jab sailani ghar laut gaiy
kia raat thee wo - jee chahta hai us raat pay likhain afsana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana,
Haan umr ka saath nibhanay kay thay ehd bohut paimaan bohut
wo jin pay bharosa karnay main kuch sood nahi, nuqsaan bohut
wo naar yeh keh kar duur hoi - ‘majboori sajan majboori’
yeh wehshat say ranjoor howay aur ranjoori si ranjoori?
us rooz hamain maloom howa, us shakhs ka mushkil samjhana

Go aag say chati jalti thee, go aankh say darya behta tha
har aik say dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha
nadaan hain wo jo chairtay hain, is aalam main nadanoon ko
us shakhs say aik jawab mila, sab apnoon ko baiganoon ko
‘kuch aur kaho to sunta hoon - is baab main kuch mat farmana’

Ab agay ka tehqeeq nahi, go sun’nay ko hum suntay thay
us naar ki jo jo baatain theen, us naar kay jo jo qis’say thay
ik shaam jo usko bulwaya, kuch samjhaya baicharay nay
us raat yeh qis’sa paak kiya, kuch kha hi liya dukhyaray nay
kia baat hoi, kis taur hoi? akhbaar say logoon nay jana
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana.
Har baat ki khooj to theek nahi, tum humko kahani kehnay do
us naar ka naam maqaam hai kia, is baat pay parda rehnay do
hum say bhi to sauda mumkin hai, tum say bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaan ho sakta hai, yeh apni katha ho sakti hai
wo naar bhi akhir pachtai, kis kaam ka aisa pachtana?
is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewna.