PDA

View Full Version : Allah Karam Allah Karam


Umar
06-06-2007, 01:05 AM
Haazir Hain Teray Darbaar Mai Hum .... Allah Karam Allah Karam
Daitee Hai Sadaa Ye Chashm e Num .... Allah Karam Allah Karam
Allah Karam Allah Karam .... Allah Karam Allah Karam

Jinn Logon Pay Hai Inaam Tera .... Unn Logon Mai Likh Dai Naam Mera
Mehshar Mai Mera Rehh Jaye Bharam .... Allah Karam Allah Karam

Har Saal Talab Farma Mujh Ko .... Har Saal Ye Shehar Dekha Mujh Ko
Harr Saal Karun Mai Towf e Haram .... Allah Karam Allah Karam

Meri Aanay Wali Sab Naslain .... Teray Ghar Aain Tera Darr Dekhain
Asbaab Hon Unko Aisay Baham .... Allah Karam Allah Karam

Iss Wird Mai UMAR Katay Sari .... Honton Pay SABEEH Rahay Jari
Allah Karam Allah Karam .... Allah Karam Allah Karam

Haazir Hain Teray Darbaar Mai Hum .... Allah Karam Allah Karam
Daitee Hai Sadaa Ye Chashm e Num .... Allah Karam Allah Karam
Allah Karam Allah Karam .... Allah Karam Allah Karam

(Sabeeh ud Din Sabeeh Rehmani)

Zenab Muhammad
06-06-2007, 04:27 AM
i really like this Hamd !!!

Umar
06-07-2007, 10:25 PM
ji MASHALLAH bohat achi Hamd hai :)
Allah iskay shaair Syed Sabih ud Din Sabeeh Rehmani sahib ko aisee kamal Hamd e Bari Taala likhnay pay bohat ajeem ajar dain .... Aamen :)
Meray pass ye hamd Maghoob Hamdani aur Mehboob Hamdani ki aawaz mai hai, agar aap chaho tu I can give u its link!

Zenab Muhammad
07-28-2007, 05:13 AM
sure.......... :)