PDA

View Full Version : Ya Rab Meri Soee Huee Taqdeer Jagaa Dai ....


Umar
06-02-2007, 10:11 AM
Ya Rab Meri Soee Huee Taqdeer Jagaa Dai
Aankhain Mujhay Dee Hain To Madina Bhi Dekha Dai

Hooro'n Ki Na Ghilmaa Ki Na Jannat Ki Talab Hai
Madfan Mera Sarkar Ki Basti Mai Bana Dai
Aankhain Mujhay Dee Hai To Madina Bhi Dekha Dai

Moonh Harshar Mai Mujh Ko Na Chupana Paray Ya Rab
Mujh Ko Meray Mahboob (SA) Ki Kambli Mai CHupa Dai
Aankhain Mujhay Dee Hai To Madina Bhi Dekha Dai

Barso'n Say Mai Inn Hatho'n Say Karta Hoon Duain
Inn Hathon Mai Abb Jaali Sunehri WO Thama Dai
Aankhain Mujhay Dee Hai To Madina Bhi Dekha Dai

Ishrat Ko Bhi Abb Khushbu e Hassan Ataa Kar
Jo Lafz Kahay Wo Unhain Tu Naat Bana Dai
Aankhain Mujhay Dee Hai To Madina Bhi Dekha Dai

Ya Rab Meri Soee Huee Taqdeer Jagaa Dai
Aankhain Mujhay Dee Hain To Madina Bhi Dekha Dai

Rida
06-02-2007, 01:37 PM
soo sweet n beautiful:ok:

Madu
06-02-2007, 02:41 PM
Ammeeeeennnnn

Umar
06-05-2007, 02:40 PM
Thanks for liking Rida, Mediha and Annie :)
JazakAllah u Khair!

Madu
06-05-2007, 04:49 PM
:eek:yay Mediha kya hota hai??????

Umar
06-05-2007, 11:40 PM
ye typing error hota hai :P :D !!!!

Madu
06-05-2007, 11:42 PM
achaaaaaaa :rofl: main samjhi..............

Umar
06-06-2007, 12:05 AM
kya samjhi?

Madu
06-06-2007, 12:14 AM
kuch nahi:D

Umar
06-06-2007, 12:18 AM
aqal ka istamaal karo tu samajh aay na ;) :P

Madu
06-06-2007, 12:21 AM
ajjj kal idhar udhar udhaaar di hui hai ...... kuch arsay tak wapis milay gi phir istamaal karon gi :redface:

Umar
06-06-2007, 12:22 AM
lolzzzzzzzzzzzz
jo cheez apkay pass pehlay hee kam hai, usay aisay taqseem na karo, warna khatam ho jaye gee :P :D

Madu
06-06-2007, 12:25 AM
app say kis nay kaha keh mayray paaas kam hai ?????? ............ bohaaaaaaat hai ............ wo tu show kam kam karti hon keh kaheen log maaaang na lain

Madu
06-06-2007, 12:25 AM
waisay bhi yay aisi dolat hai jo taqseem karnay say khatum nahi hoti barhti hai ............... yay mayra qaul hai

Umar
06-06-2007, 12:58 AM
acha .... chalo aap nay kaha aur hum nay maan lia :)
lakin mujhay yaad hai k jab aqal taqseem ho rahi thi tu aap tu wahan mojoood hee nahi thi :P :D !!!!

Madu
06-06-2007, 04:02 PM
jahan app mojoood thay wahan main mojood nahi thi .... laikin jahan main mojood thi asal product tu waheen taqseeem ho rahi thi :tease:

Umar
06-07-2007, 10:22 PM
lolz .... acha :D

iska matlab hai k aap uss jagah mojood thi jahan Laddu Taqseem ho rahay thay ... mai to wahan tha jahan aik non-important cheez yani Aqal taqseem ho rahi thi ;) :P :D !!!!

Madu
06-07-2007, 10:58 PM
bilkull LUDOO hi taqseem ho rahay thay laikin AQAL KAY LUDOO THAY aur unhain khanay say mujh main AQAL aa gai thi ................

aur app kay liay tu waqaiiiiiiii non important cheez hi hai ........use jo nahi kartay appp .............. hai naaaaa:yes::P

Umar
06-10-2007, 08:28 PM
hahahahahaha
acha yar mai haara aap jeeti .... wesay bhi larkiyon say baton mai jeetna possible nahi hai ;) :D

Madu
06-17-2007, 04:45 AM
thatsssssssssssss like a guuuuuud boy ;)

Umar
06-17-2007, 12:02 PM
good tu kher mai hoon hee, aap bhi meri tarah ki good ho jao aur kam bola karo ;) :D

Madu
06-18-2007, 12:27 AM
q ziada bolnay say kia hota hai ????

Umar
06-18-2007, 02:25 AM
doosron k sar mai dard hota hai :P :D

Madu
06-21-2007, 04:00 PM
sar dukhay khair hai .. dil nahi dukhna chahiay ........... :)

Umar
06-21-2007, 09:20 PM
lolz ....
haan bilkul sahi kaha
coz sar k dard k liay disprine hai
dil k dard ka koi ilaaj nahi :)