PDA

View Full Version : kya dosh humara hota hai...


Madu
05-08-2007, 10:26 PM
Hum un se agar mil baithtay hayn, Kya Dosh hamara hota hay ?
Kuch apni Jasarat hoti hay, Kuch unka ichara hota hay...

Katnay lageen raatain ankhoon main, Deekha nahi palkoon par aksar ?
Ya Shaam e Ghareeban ka Jugnoo, Ya subha ka taara hota hai

Hum Dil ko, liya, har dais phiray, is jans kay gahak mil na sakay
Aay Banjaroo hum loog chalay, Hum ko to khasara hota hai

Dafar se uthay, cafe main gayee, kuch shair kahay, kuch coffeee pee
Poochoo jo Ma'ash ka Insha Ji, youn apna guzara hota hai...

Shanza
05-09-2007, 09:59 AM
wah wah .........