PDA

View Full Version : Chaand


Madu
05-04-2007, 05:30 PM
Shaam samay ik oonchi serhio.n walay ghar kay aangan main
chaand ko utartay daikha hum nay chaan bhi kaisa poora chaand

insha sahab in chahnay wali, daikhnay wali aankhon nay
mulkon mulkon shehron shehron kaisa kaisa daikha chaand

dard ki tees tu uthti thi per itni bhi bharpoor kabhi
aaj say pehlay kab utra tha dil main itnaa gehra chaand

hum nay tu qiamat kay dar say jab payay andhiaray payay
yay bhi chaand ka sapna ho g, kaisa chaand kahan ka chaand

jhuki jhuki palkon kay neechay namnaaki ka naam na tha
yay kaanta jo humain chubha, hai kaash ussay bhi chubhta chaand

roshnion ki peeli kirchain poorap pichham phel gaiin
tu nay kis sheh kay dhokay main pathar per day patka chaand

hum nay tu donon ko daikha, donon hi baydard kathor
dharti wala, amber wala, pehla chaan aur dooja chaand

chaand kisi ka ho nahi sakta, chaand kisi ka hota hai?
chaand ki khatir zid nahi kartay ayy mayray achay insha chaand