PDA

View Full Version : Ae Allah, Yeh Kya Maajra Hai?


Shanza
03-24-2007, 05:26 PM
Ae Allah, Yeh Kya Maajra Hai?

Nitt naye naqsh banaatay, ho mita detay ho
Jaanay kis jurm-e tamanna ki saza detay ho

Kabhi kankar ko bana detay ho heeray ki kali
Kabhi heero ko bhi mitti mein mila detay ho

Khwaahish-e deed jo kar baithay sar-e toor koi
Toor hi bhar kay tajalli say jala detay ho

Naar-e namrood mein dalwaatay ho khud apna Khaleel
Khud hi phir naar ko gulzaar bana detay ho

Chaahay qinaan mein phainko kabhi maah-e qinaan
Noor Yaaqoob ki aankho ka bujha detay ho

Baicho Yusuf ko kabhi misar kay baazaaro mein
Phir usi Yusuf ko shah-e misr bana detay ho

Jazb-o masti ki jo manzil pay pohanchta hai koi
Baith kar dil mein uskay "Ana Al Haq" ki sada detay ho

Khud hi lagwaatay ho phir kufr kay fatway us par
Khud hi Mansoor ko sooli pay charha detay ho

Apni hasti bhi woh aik roz ganwa baith ta hai
Apnay darshan ki lagan jisko laga detay ho

Koi Raanjha jo kabhi khoj mein niklay tumhari
Tum usay jhang kay melay mein rula detay ho

Justuju tumhari lay kay jo chalay Qais koi
Usko Majnoo kisi Laila ka bana detay ho

Joth Sassi kay agar mann mein tumhaari jaagay
Tum usay taptay huay thal mein jala detay ho

Sohni tum ko Mahiwaal agar tasawwur kar lay
Usko biphri hui lehro mein baha detay ho

Aur Khud jo chaaho to sar-e arsh bula kar Mehboob ko
Aik hi raat mein Mairaaj kara detay ho

Umar
04-02-2007, 08:36 PM
SubhanAllah :) MASHALLAH very good!
last sher specially bohat acha laga :)

Umar
08-12-2007, 02:04 AM
Aur Khud jo chaaho to sar-e arsh bula kar Mehboob ko
Aik hi raat mein Mairaaj kara detay ho

beautiful sher ....
socha aap sab ko Shanza ki post yaad karva dain iss mubarak mokay parr :)

Madu
08-12-2007, 02:33 AM
hmmmmmmmm gr8 poetry ....... thanx to shanza .. although she is not here now a day

Umar
08-12-2007, 08:41 AM
Madiha aap mujhay bhi thanks bolo .... aakhir isko yaad tu mainay hee dilaya haina ....