PDA

View Full Version : Kal socheN ga



Tahir
02-24-2006, 01:09 PM
Koun hai kaisa, kal socheN ga
Jhoota sachcha, Kal socheN ga

Aaj ki raahoN se to guzar leiN
Kal kya hoga, kal socheN ga

Abhi to mehfil meiN haiN yaaro
Tanha-tanha, kal socheN ga

Ab tak jo socha acha tha
Aur bhi acha kal socheN ga

Apne naam hooN do bas lamhe
Waqt hai kiska, kal socheN ga

Tuut gaya dil yaaro aik din
Ab kyuuN tuuta kal socheN ga

Tum ko paa kar humne Khud ko
Kitna khoya, kal socheN ga

Zehan kahe kuch kal ki socho
Dil hai kehta, kal socheN ga

Wahab
02-24-2006, 01:14 PM
Wah Je Wah .. daad deyney k barey main KAL SOCHOUN GA

Tahir
02-24-2006, 01:33 PM
:pardon: Aap nay to khud hi permaya tha :d anson kemati hain :P to socha :P kal sochoun gaa