PDA

View Full Version : La' Ilaha Il"lalah


Tahir
10-08-2006, 01:58 PM
Khudi ka sar_e nihaa.n LA' ILAHA IL"LALAH
khudi hay taig_e fusaa.n

ye dor apney Baraheem ki talash main hay
sanam kadah hay jahaa.n LA' ILAHA IL"LALAH

kiya hay tu nay mata_e mata_e ghuroor ka soda
faraib_e sod_o zayaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH

ye maal_o dolat_e duniya. ye rishta_o paiwand
butaan_e weh'm_o gumaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH

khirad hoi hay zamaa.n O makaa.n ki zannari!
na hay zamaa.n, na makaa.n! LA' ILAHA IL"LALAH

ye naghma faz'l_e gull_o lala ka nahi paband
bahaar ho k khizaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH

agar chey butt hain jama'at ki aastinoo.n main
mujhe hay hukm_e azaa.n, LA' ILAHA IL"LALAH

by Allama Iqbal

Umar
10-08-2006, 02:56 PM
MASHALLAH very nice ....
its Allama Iqbal's Kalaam :)