PDA

View Full Version : Shairy-e-Dard ...Collection...


Tahir
02-22-2006, 04:49 PM
Ishq ke bhi kuch adab hua karte hain,

Jagti ankon me bhi khuab hua karte hain,

Har koi ro kar dikae ye zaroori to nahi,

Hushk ankhon me bhi selab hua karte hain.

[Tahir]

Tahir
02-22-2006, 04:52 PM
Doob jaey ga aj bhi suraj,
Aj bhi ap nazar na ao gey,
Biet jaey gi is tarha har sham,
Kab tak hame yun rulao gay???

[Tahir]

Tahir
02-22-2006, 04:54 PM
Dil se tera khayal na jaaye to kya karoon?
Tu hi bata teri yaad jo aaye to kya karoon?
Hasrat yeh hai ki ek nazar dekh loon tujhe,
Kismat agar woh lamha na laaye to kya karoon

[Tahir]

Tahir
02-22-2006, 04:57 PM
Baat Chupti Nahin Chupanay Say
Dil Rukta Nahin Kisi K Samjhanay Say
Ruk Jati Hai Dharkan Us Ko Bhool Janay Say
Hum Us Ko Yaad Kartay Hain Jeenay K Bahanay Say

[Tahir]

Tahir
02-22-2006, 04:59 PM
Raat Huee Jab SHaam K Baad...
Teri Yaad Aayee Har Baat K Baad...
Khamoosh Reh Kar Bhi Humne Dekha...
Teri Awaaz Aayee Har Sans K Baad..

Wahab
02-22-2006, 05:01 PM
haye haye .. itna DERD ... Allah Mian Maaf fermayeh ! .. Allah Mian sab ko iss Derd Se maaf fermayein jee ..Ameen !... Ameen !!!

Tahir
02-22-2006, 05:02 PM
Ek bar nazar mila le agar woh...
To mehek jaye khamosh raat,
Iss tarhan tum dil ke kareeb aate ho...
Ki behek jatein hain merey jazbaat.

Tahir
02-23-2006, 03:34 PM
Safar mein dost bichrain gay, magar tum hosla rakhna
tumharay paon ukhrain gay, magar tum hosla rakhna

sataye gi shab-e-hijraan tou koi rooth jaye ga
bohat se kaam bigrain gay, magar tum hosla rakhna

Tahir
02-23-2006, 03:39 PM
us ko dekhna dekhtay rehna hi kaafi tha
lot aya hon dil mein le ker dil ki baat

kesay ab main auroon ko be-dard kahoon
main bhi thori door gaya tha us k saath

mehv-e-takallum dunya bhar k logon se
laikin aankh mein woh hai dil mein us i baat

Tahir
02-23-2006, 04:57 PM
tum jo chaahti to halaat badal sakti thi ..
mere aansoO teri aankhon se nikal saktay thay..
per tum to tahre jheel ke paani ki tarah ...
darya ban jaati to bohat door nikal sakte thay


--------------


Dard e dil me kami na hojae,
Dosti dushmani na hojae

Apne khu e vafa se darta hoon,
Ashiqui bandagi na hojae

Tahir
02-27-2006, 02:56 PM
badan juda hotay hain
dil juda nahi hotay hain

kaisay juda karein gay
log khuda nahi hotay hain

Saudaai
10-15-2006, 01:15 PM
naqsh kitane thay k maaduum hue sil_silaavaar
aur har naqsh ke pahaluu se ubharataa gayaa main

ek tasviir banaaii thii mukammal na huii
ek hii rang lahuu rang thaa bharataa gayaa main

Saudaai
10-15-2006, 01:16 PM
dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai

paas aake meraa dukh-dard baTaanevaale
mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai

Tahir
10-15-2006, 01:52 PM
http://www.hungamaforums.com/hosted-images/1453204d40997f.gif (http://www.hungamaforums.com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=555)

Tahir
10-15-2006, 01:54 PM
http://www.hungamaforums.com/hosted-images/14532053b9cd65.gif (http://www.hungamaforums.com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=556)

Tahir
10-15-2006, 01:58 PM
http://www.hungamaforums.com/hosted-images/14532063fdbdeb.gif (http://www.hungamaforums.com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=557)

Ahsas
10-15-2006, 03:53 PM
wah ji kia baat hai buhat khoob

Saudaai
10-19-2006, 06:25 PM
Farz Karo Hum Ehl e Wafa Hon Farz Karo Deewanay Hon
Farz Karo Yeh Dono Batain Jhooti Hon Afsanay Hon

Farz Karo Yeh G Ki Bipta G Say Jorr Sunai Ho
Farz Karo Abhi Aur Ho Utni Aadhi Hum Nay Chupai Ho

Farz Karo Tumhain Khush Karnay K Dhoonday Hum Nay Bahanay Hon
Farz Karo Ye Nain Tumharay Sach Much K Maikhanay Hon

Farz Karo Ye Rogg Ho Jhoota Jhooti Peet Humari Ho
Farz Karo Iss Peet K Rogg Mai Saans Bhi Hum Par Bhari Ho

Farz Karo Yeh Jog Bajogg Ka Hum Nay Dhong Rachaya Ho
Farz Karo Bass Yahi Haqeeqat Baki Sab Kuch Maaya Ho

Dekh Meri Jaan Keh Gaay Bahu, Kon Dilon Ki Janay "HU"
Basti Basti Sehra Sehra Lakhon Karain Dewanay "HU"

Jogi Bhi Jo Nagar Nagar Mai Maray Maray Phirtay Hain
Kaasa Liay Bhaboot Ramaay Sab K Davaray Phirtay Hain

Shaair Bhi Jo Meethi Baani Bol K Munn Ko Hartay Hain
Banjaray Jo Oonchay Daamo Gee K Soday Kartay Hain

Inn Mai Sachay Moti Bhi Hain Inn Mai Kankar Pathar Bhi
Inn Mai Athlay Paani Bhi Hain Inn Mai Gehray Saagar Bhi

Gori Dekh K Aagay Barhna, Sab Ka Jhoota Sacha "HU"
Doobnay Wali Doob Gaee Thi Ghara Tha Jiss Ka Kacha "HU"

(By: Ibn e Insha)

Tahir
10-19-2006, 07:28 PM
http://www.hungamaforums.com/hosted-images/14537997a849b5.gif (http://www.hungamaforums.com/vbimghost.php?do=displayimg&imgid=860)

Tahir
10-19-2006, 07:35 PM
Na mil payenge is baat ka gam to nahi,
aansoun ki keemat pani se kam to nahi,
tumhe khone k dar se neend aati nahi,
kahin is dar se tumhari bhi aankhen nam to nahi

Tahir
10-19-2006, 07:35 PM
bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye
kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
aapkee hun aapkee rahungee aitbaar kijiye

parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye

phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye

Tahir
10-19-2006, 07:37 PM
kia mila muhabat say
khuwab ki musafat say
aik hijar ka sehra
aik thaka howa anso!

Tahir
10-19-2006, 07:55 PM
Tera Bad Becha Hi Kya HAI Jeevan Main
Main Hoon, Bheegi Shaam Hai, Aur Tanhai Hai

Saudaai
10-20-2006, 03:38 AM
dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai

paas aake meraa dukh-dard baTaanevaale
mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai

chand sheron men kahaaN Dhalatii hai ehasaas kii aag
Gham kaa ye rang nikharanaa to abhii baaqii hai

rang-e-rusvaaii sahii shahar kii diivaaron par
naam "Rashid" kaa ubharanaa to abhii baaqii hai

Saudaai
10-20-2006, 03:43 AM
dard jab terii ataa hai to gilaa kis se karen
hijr jab tuune diyaa hai to gilaa kis se karen

main safar men huuN mere saath judaaii terii
ham-safar Gham hai to phir teraa pataa kis se karen

khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaaii tere
har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se karen

tere lab, terii nigaahen tere aariz terii zulf
itane zindaaN hain to is dil ko rihaa kis se karen