PDA

View Full Version : Tumen Jab kabhi milen...


Tahir
01-21-2006, 03:00 PM
Tumen Jab kabhi milen... Mery Dil se bojh uttar do

tumhay jab kabhi milay kuch raqam meray bil k bojh utaar do
may hoon bohat dinoo say phansa howa mujhay kuch raqam tu udhar do.

mujhay apnay gher say bijli do k chamak sakain mayray bam-o-dar
mujhay apnay gher may nahanay do mayra sara mail utaar do,

kissi aur ko meray haal say na gharaz hai na koi waasta
tumhi aakay mayra moon dhulauoo mayray bigray bal sanwar do,

tumhain subah kaisi lagi kaho mayray qarzdaroon ki bheer ki,
jo bhali lagi tou yahin raho mayray saray qarz utaar do,

koi baat kari hai aap say, kisi shaksaar ki oot mein
mujhay mayray gher pay utaar k or kuch tu paisay udhar do,

may ye janta hoon k tum bhala na kisi ko apna bukhar do.
mager ho sakay tu sunoo zara mujhay lakay thora aachar do.

:tooth: :dance0dm: ;)