PDA

View Full Version : The illusion picture


Tahir
05-09-2006, 01:10 PM
http://img276.imageshack.us/img276/7915/v4wcj95ll.jpg

:laughing: :laughing: Amazing Right :D

Umar
05-09-2006, 04:38 PM
lol ....
well I saw this pic 3 or 4 years ago on net .....
really amazing .... couldn't find y is it so :) !!!!!!!!!!!

Umar
05-09-2006, 04:42 PM
haan ....
dekhi :) its quite amazing yaar ....
I think jab hum focus kartay hain kisee dark color ki cheez pay to uska image humaray retina pay reh jata hai .... and due to that wo baba ji nazar aatay hain walls etc pay .... lol :D thats what I think .....
baki Allah janain ;) :P :D !!!!!!!!

Umar
05-09-2006, 04:49 PM
lol .... abb pata nahi humari aankhon ki ghalti hai ya BABA JI ka kuch kamaal ;) :laughing:

Umar
05-09-2006, 04:53 PM
hahahahahaha ...

itnay haseen lagay BABA JI apko k unkay husan ki wajah say apki raat ki neendain hee urr jaain gee ;) ?

wesay apko kion nahi aati raat ko neend :P ?

Umar
05-09-2006, 05:24 PM
ahaan ....
chalain aap kehti hain to maan laita hoon .... magar mujhay to koi aur hee chakkar laga tha .... k chalain ye walay BABA JI na sahi .... shayad koi aur BABA JI hee hon .... jinki wajah say apko neend nahi aati ho ....
Abb aap keh rahi ho k setup kharab hai sonay jagnay ka .... to chalo maan laita hoon ;) :P !!!!!!!!!!

Umar
05-09-2006, 05:36 PM
:eek: toba hai ....
mai to samjha tha k shayad sirf aap hee aisee ho par .... lol :laughing: (just kidding)

school, college, univ ya kisee kaam kaaj pay nahi jatay aap logg kya jo sara din sotey rehtay ho?

chalain koi baba na sahi ... koi YOUNG hee ho ga ;) !!!!!!!!

Umar
05-09-2006, 05:49 PM
hmmm .... good thinking :) !!!!
harr cheez ka aik waqt hota haina .... aur harr cheez apnay uss munasib waqt pay hee achi lagti hai :) I like ur thoughts :) !!!!

hmm ... aaj kal aap I think ayashi kar rahi ho .... correct? any plans .... iss ayashi k khatam honay k in near future? I mean further studies ka plan hai?

Umar
05-09-2006, 06:30 PM
hmm MBA .... lol :laughing:

mai bhi aaj kal isee tension ka shikaar hoon ....
hum dono aik hee kashti k musafir hain .... :laughing:

Problem ye hai k Pakistan mai siway LUMS k aur IBA Karachi k koi aur TOP CLASS Intitution nahi hai 4 MBA .... Baki zara lower level k hain :)

Ghar waalon ki taraf say pressure hai k aap UK say karo ja k .... but mera ye mind nahi hai ..... coz wahan life khasi tough hai ..... atleasy Pakistan mai rehtay huay ghar ka khana to naseeb ho jaya karay ga na :)

aap dua karo k bass kuch acha ho jaay :) !!!!

mai bhi wesay aaj kal Ayashi pay hee hoon .... lol :laughing:
Mai sota to 12 ya max 1 tak hoon , but uthta 11 k kareeb kareeb hee hoon ;) :) :D !!!!!!!!!!

After Graduation 6 months takreeban job ki, then chor dee aur abb further admission k baray mai soch vichaar ho raha hai .... just like u :) !!!!!!!!!!!!!!!!

Umar
05-09-2006, 06:48 PM
Nahi nahi .... mai NASHUKRI nahi kar raha na hee kar sakta hoon :) kabhi baat huee direct .... ya separately to will tell k kya scene hai mera :) !!!!

but LUMS k sath alternates aap zarur rakhna ... coz LUMS mai admission almost impossible hee hota hai .... lol :D !!!!

Mai future mai MBA karooon ga INSHALLAH but dekhain kahan say karta hoon ....

INSHALLAH agar mai apki kisee bhi tarah kuch bhi help kar saka to that would be an honour 4 me :)

iss mai poochnay wali as such baat nahi hai kisee say bhi .... admission laina to wesay hee masla nahi hai ..... haan VISA mai problem zarooor hoti hai .... wahan bhi apki luck hee count hoti hai ..... kher agar jana hua to dekhain gay but dua karain k mera yaheen kuch ho jaay :) !!!!

tough to hai life .... jo rehtay hain unn k dukhray suno aap .... lol :D but jo aik dafa chala jata hai uska wapis aanay ko dil nahi karta ..... :laughing:

chalain aap k liay mai dua karta hoon aur meray liay aap karo .... !!!!

Umar
05-09-2006, 07:07 PM
zara mushkil nahi ... bohat zyada MUSHKIL hai LUMS mai admission :) !!!!

dekhain mujhay to kashish nazar nahi aati Europe mai .... frankly speaking .... bohat see cheezain hain aisee wahan .... jinn ko aap avoid nahi kar saktay .... aur unn say apko guzarna parta hai .... kher we will discuss this in detail phir kabhi :) !!!!

acha hee kia apki family nay jo wahan na rehnay ka socha :) atleast u r living in a Muslim Society .... aur religions k bhi logg hain .... but aik Muslim country mai ho aap .... ye bohat bari baat hai :) right na?

haan bass we are great people na ....
iss cheez ko dekh k lagta hai k we have alot to discuss .... lol
humari batain khasi lambi jati hain :)
aik Punjabi ka muhavra hai ....

galla'n da gaalar hona ....

lol :laughing: shayad aap nay ye pehlay na suna ho :P
hum dono basically yahi hain .... :) !!!!
topic koi hota hai ... usay utha k kaheen lai jatay hain ....
aur khoob batain kartay hain .....
mazza aata hai .... haina :) ?

Rida
05-09-2006, 08:39 PM
Very Nice!!!!:ok:
kool!!!!!
btw.....
who is he?

Umar
05-10-2006, 08:06 PM
Sanya - haan ye baat apki sahi hai k LUMS ka standard hai and if u do MBA from there to achi see job pakki hai apki :) lakin wahan admission k liay apko sakht mehnat aur achi kismat .... dono ki zaroorat hoti hai :) !!!!

mmmmmm haan mujhay andaza hai k aap jahan rehti ho wahan bhi, Saudi Arabia mai bhi aur kuch doosray Arab countries mai aisa hee hai k wo apko Nationality nahi daitay na hee aap wahan property buy kar saktay ho .... yakeenan ye koi achay rules nahi hain .... mai aap say agree karta hoon .... aur Europian countries apko Nationality dai daitay hain .... ye bhi fact hai .... lakin aap just uss aik baat ki base pay unn non-Muslim countries ki baki buraiyon ko ignore nahi kar sakti .... aap apnay bachon ki parvarish theek say nahi kar saktay europian countries mai .... aap kaheen bahir chalay jao to aisay manazir dekhnay ko mil jatay hain jinhain aap akelay nahi dekh saktay aur sath apki maa behan hon to apka kya banay ga ..... mai kabhi unn countries mai nahi gya .... I am telling u what my sister n mom saw .... my sister lives in Canada actually .....
aap aik bohat bohat achi jagah reh rahi ho .... Allah ka shukar adaa karo .... 5 waqt azan ki aawaz ati hai apko masjid say .... kuch Muslims jinhain vakai shoq hai wo mobile fones ya computer softwares ka sahara laitay hain Azan sunnay k liay .... aap lucky ho k apnay country say dur rehtay huay bhi 5 times Azan ki aawaz masjid say sunti ho .....
aap lucky ho k aap proper HIJAAB mai parhti ho, job karti ho .... normal life guzarti ho ..... lakin kuch ladies aisee hain Europian countries mai jinhain wahan janay pay Scarf lainay pay taunt kia jata hai .... unhain majboor kia jata hai k wo utarain ..... like France ki aik court nay against decesion dia tha aik Muslim larki k .... abb wo ya to parhai chor dai ya phir bagher Hijaab k parhay .... u can see how tough life is .... in those countries 4 Muslims ....

humari batain lambi hee jati hain :) iss pay aap tension nahi lo ..... :) !!!!

Rida - he is BABA Ji :P !!!!!!

Umar
05-10-2006, 09:44 PM
aray wow ... its an excellent News :) !!!!
Mubarak ho :) !!!!

Well MBA k baray mai apko mai jitna guide kar sakta hoon I will do that INSHALLAH :) .... u can discuss that with me any time ..... :) !!!!

haan achai burai to harr jagah hee paai jati hai .... but kuch jaghain hain jahan burai zyada hai aur achai kam .... we should avoid such places :) .... kam burai aur zyada achai wali jagah pay survive karna comparatively easy hota hai i guess :) !!!!

CG to kher gaee huee hain .... baki pata nahi kahan hain .... apki gurya bhi chotey chotey masoom say questions pooch k pata nahi kahan chali jati hai :) she doesn't participate in long discussions like this .... :) acha hai .... kam hee bolna chahiay .... kehtay hain jo kam bolta hai uskay gunah kam hotey hain .... coz zyada bolnay wala normally sochay bagher bol jata hai kuch .... aur iss tarah gunah ikathay karta hai .... chup rehnay walay k hissay mai atleast zuban k through aanay walay gunah kam hee aatay hain :) !!!!

Rida - ye BABA JI to bohat peechay reh gaay .... hum to pata nahi kon kon say masaail par guftagu karr baithay baba ji ko bhoool k ;) :P :D :laughing: !!!!

Umar
05-11-2006, 02:53 PM
INSHALLAH mama kaaim rahain gee .... ya wohi ho ga jo aap k haqq mai behtar ho ga .... INSHALLAH .... u know y? bcoz ALLAH HAIN NA .... jab WO hain .... to aap k sath kuch ghalat ya bura ho hee nahi sakta ..... INSHALLAH :) !!!!

haan ye baat to apki sahi hai k studies say related talks k liay we need to use PM :) chalain jo mujhay pata hai apkay questions k baray mai uska reply mai apko PM mai kar daita hooon :) !!!!

aray nahi nahi .... mai kion kahoon ga apko gunahgaar .... infact mai kon hota hoon ye kehnay wala :) iska ikhtiyaar to sirf Allah Miaan ko haina :) k wo jisay chahain gunahgaar kahain aur jisay chahain na kahain .... coz ye muamla to banday aur uskay Mabood k darmiyaan hota haina ..... kisee 3rd person ka iss mai koi role nahi hai :) mainay to wesay hee aik general see baat kahi hai k aisa hota hai k zyada bolnay wlay zyada gunah ikathay kartay hain .... but its not a hard n fast rule k hamesha hee aisa hota hai :) !!!!
Sach bataooon agar to .... aap mujhay khud say zyada nake lagti ho .... i men mujh say zyada nake lagti ho aap :) !!!!!!!

haan u r right .... agar hum just post k baray mai hee comments dain to 4 - 5 say zyada replies nahi hon gay :) .... jesay inn BABA JI ki pic ki baat hee kar lo .... hum 3 nay replies kiay hain .... max bhi hotey to 5 to 6 ho jatay iss mai .... coz hum nay BABA JI ko thora discuss kia tha iss mai .... lol :laughing: wanrna normally posts mai itna bhi discuss nahi kartay :) !!!!

Umar
05-13-2006, 01:55 PM
u know sanya - abhi ye reply mai 2nd time type kar raha hoon .... bilkul end pay tha pehlay mai to light chali gaee .... lol :laughing: chalo koi baat nahi .... pata nahi aisa kitni baar hua hai meray sath ..... k kuch type kartay huay aisa ho gya ho .... chalo MS Word pay type kar rahay ho to apko mil jata hai jo likha ho again ..... but iss forum pay ye feature nahi hai ....

Tahir - Iss forum pay ye feature aa sakta hai kya :P ;) ?

OK let me come to the original reply .....

Aray thanx nahi zaroorat nahi hai, ye mera farz hai ..... atleast u must not say thanx 4 the prayers I do 4 u ..... coz ye to mujhay karna hee haina aur ye mujhay hamesha yaad bhi rahay gee baat ..... so aainda matt kehna :punish: ok?

Apko boltay rehna chahiay aisay hee ..... coz agar aap na ho ya aap nahi bolo to yahan sab aik doosray ki posts ki sachi jhooti tareefain kartay hee nazar aain gay :) laihaza I want u 2 speak ..... jitna bolti ho uss say bhi zyada ..... I think gup shup honi chahiay, ye zarooori hai :) !!!!!!!!!

haan study say related apko jo bhi karna hai aap kar lo .... I mean agar thread banana chaho to wo bana lo, warna PM to hai hee .... wesay last time initial information mainay apko PM k through provide kar dee thi, I hope msg mil gya ho ga ..... !!!!!!!!

mmmmmm ye to hum nahi keh saktay k kon zyada nake hai, aap ya mai .... ya hum dono barabar hain ..... we can't judge this ..... coz Allah k nazdeek sab barabar hain ..... aur jo aik cheez difference paida karti hai ..... wo hai Allah ka khauf .... yani Taqwah ..... abb wo hum dono mai kiss mai zyada hai .... ya dono mai barabar hai .... Allah behtar jantay hain :) haina?

I think yahan koi jhanknay ki zehmat karay ga bhi nahi siway hum dono k .... lol :D chalain koi nahi aata to nahi sahi ..... hum dono to haina :) !!!!!!!!!!!

Umar
05-14-2006, 05:11 PM
:) haan sahi kaha .... light ka problem bohat bura hai .... wesay Allah ka shukar hai k few years say yahan proper load sheding wala kaam to khatam ho gya hai ..... k daily hee light chali jaay :D but u know yahan jo transformers lagay huay haina .... unn mai say jo week hain wo bojh nahi bardasht kar patay aur ik dhamakay say burn kar jaatay hain .... aaj kal to load zyda hota haina ..... then WAPDA walay unn transformers ko change kartay hain ..... to iss tarah one by one jiss jiss transformer ko problem aati hai usay replace kar dia jata hai .... aur June tak normally condition better ho jati hai light ki ..... naee naee garmi aanay pay light ka zyada problem hota hai :) !!!!

Iss k ilava jinn dino basant hoti hai tab bhi .... tab to intaha hee ho jati hai sachi say .... !!!!!!!!!

meri mom pc k muamlay mai to plug nikalnay wala kaam nahi karteen .... haan jab mai chota tha aur Video Games khelta tha bohat tv pay, tab mom aisa kia karti theen k plug nikaal daitee theen aur sath dant-ti bhi theen .... lol :D

ji sab mothers ko aisay hee pyaar hota hai apnay bachon say .... Allah unka saya aap k sar pay hamesha salamat rakhain ..... Aameeen :) !!!!

nawazish ho gee agar aap thanx say related apni iss baat pay kaaim rahain to :) !!!!

mai ghor say hee parhta hoon aap k replies .... lakin wo kya hai k .... mai apki baat ko support kartay huay uss pay mazeed zorr dai raha tha ;)

koi na aay .... hum to hain na ..... atleast we are not leaving all this ;) agar CG humain join karr lain .... to kafi mazza aay ga .... wahab nay kia to wo aa k laray ga hee mujh say ;) :D ..... aur Tahir nay wesay hee nahi aana .... usko kehnay ka faida nahi ..... GURYA ko to zarooor hee aana chahiay .... coz she is soooooooooo sweet gurya :) !!!!!!!!

Umar
05-19-2006, 01:25 AM
:) haan Allah ka shukar hai .... Pakistan mai bohat development ho rahi hai .... no doubt about it .... pehlay say Sanya halaat better hain but sirf aik problem hai yahan ..... mehngai ..... ye zara kam ho jaay na to bass phir sab sahi hai :) !!!!

Haan ji aap jiss port ka zikar kar rahi ho uska naam hai GAWADAR PORT ..... ye Balochistan mai ban rahi hai ..... Gawadar k Sahil pay .... ye itnaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa bara project hai k iss ko aaj tak kisee Prime Minister ya President nay start hee nahi karvaya .... 1977 mai iss ki feasibility report tayyar thi aur construction start honay k orders ka intazaar tha .... but due to lack of fund and lack of courage .... ye project koi start nahi kar saka .... THANKS TO GENERAL MUSHARRAF k unho nay iss k liay China say muahida kia .... aur unki support say abb Pakistan ye bana raha hai .... iss k ilava Roads ka network banaya ja raha hai poora ..... jo Pakistan k harr hissay say GAWADAR tak aain gee .... na sirf Pakistan say, balkay ird gird k countries say bhi aain gee aur wo apni trade Pakistan ki iss port k through karain gay.
Iss k ilava GAWADAR k area ko aabad kia ja raha hai ..... ye samajh lo k Karachi jesa city aabad karnay ka plan hai wahan .... housing projects aur pata nahi kya kya wahan start kia gya hai ..... sab fecilities yahan pohanchai ja rahi hain ..... bohat tarakki ho rahi hai uss area mai MASHALLAH ..... aur INSHALLAH ye port GATEWAY TO MIDDLE EAST bann jaay gee India aur uss say peechay k countries k liay ..... :)

acha .... baki sab kahan hotey hain aap k ghar walay :) ? wesay mujhay lagg bhi raha hai ye cozz aaj kal aap forum pay kam kam aati ho :) !!!!

lol :D acha janab .... theek hai ..... jab aap majbooor ho jaain bohat zyada ..... to uss condition mai thanx ki IJAZAT HAI :) !!!!

koi nahi aay ga .... bass hum dono hee lagay huay hain hum hee lagay rahain gay .... lol :laughing:

Umar
05-25-2006, 01:16 PM
hmm .... mainay apka PM parha tha but reply nahi kar saka .... aaj INSHALLAH karun ga .... usay parh k idea hua tha k u r quite busy these days ....

well kuch elements aisay hain jinhain nahi lagti Pakistan ki Tarakki achi :P but jo TRUE PAKISTANI hain they really like it :) and I am really happy 2 know k u on of them MASHALLAH :) !!!!!!!!!!

Pakistan actually needs people like u :) !!!!!!!!!!!

Umar
06-18-2006, 01:43 AM
haan jee mujhay andaza ho gya tha .... infact i was worried too .... k pata nahi aap kion nahi aa raheen? aunti ki sehat to theek haina?
yes exactly :) mai to yahan hoon apnay country ki khidmat k liay :) aap bhi jaldi aa jao MBA karnay yahan :P :D !!!!!!!!!!!!

Umar
06-19-2006, 12:50 AM
acha .... thats good ....
yaar mainay msg kia tha :S uss mai MBA k baray mai bhi likha tha .... I don't know apko kion nahi mila wo ....
apki tabiyat ko kya hua tha? its really good to know k aunti abb theek hain :) MASHALLAH .... unhain kya hua tha? u told me once k unki tabiyat pehlay bhi kharab huee thi .... jab apki studies khasi effect huee theen .... tab kya hua tha?
jee most welcome ... jab chaho apnay watan wapis aa jao, its urs na :) !!!!