PDA

View Full Version : Beautiful Masjids Of The World :) !!!!



Umar
05-09-2006, 11:51 AM
Estanbol-Terky


Italy


Kenia


Makkah


Morocco



On The Top Of Water


Pakistan


Perne


Spain

Umar
05-09-2006, 05:19 PM
:) thanx from my side too :) !!!!

aap jo post karnay wali thi wo zarooor post karna .... I would love 2 see that .... ok :) ?

hmm .... aur MASHALLAH kitni zabardast Masjidain haina .... lakin ye kitni hee haseen kion na banai gaee hon .... inka asal husan to unn logon ki wajah say hota hai jo inn mai namaz adaa kartay hain ba-jamaat :) haina?

Tahir
05-09-2006, 05:42 PM
:osama: MashahAllah :) Really beatiful :) I would visit them. once i have money to travel and get visa easly :D

Umar
05-09-2006, 05:45 PM
lol ....
Tahir - Allah may give u proper resources to visit all of these masjids :) mujhay bhi sath lai jana .... ok :) ?

Umar
05-09-2006, 06:05 PM
Pakistan mai unfortunately masjids mai utna rush nahi hota jitna k hona chahiay ..... logg gharon mai namaz parhnay ko prefer kartay hain ..... aur mai intahai afsos say aur apni mistake ko accept kartay huay kahoon ga .... k kuch logg meray jesay bhi hotey hain jo gharon mai bhi namaz regularly nahi parhtay ..... din mai 2, 3 ya 4 parh lee .... 5 to shayad hee kabhi hoti hon :S :( I am feeling so sorry 4 my carelessness :S !!!!

pakistan mai mostly ye situation Ramzan mai hoti hai .... ya mostly Friday ko .... k namaz parhnay ki masjid mai jagah na rahay .... jagah kam parr jaay .... but normal days mai aisa nahi hota .....

Jaghain to yahan bhi mostly bani huee hain namaz k liay lakin afsos k wahan ronaq nahi hoti utni .... jitni k honi chahiay .....

abhi aik baat ki aap nay :) k aksar khawateen nay pant jeans pehni hoti hai .... aur namaz k time pay wo abaya pehan k namaz k liay aa jati hain .... kya wo ye Allah Miaan ko dekhanay k liay aati hain k unho nay bara acha Islamic Dress pehna hua hai .... aur baki time duniya ko dikhanay k liay Jeans pehni hoti hai .... aisay double standards bhi nahi honay chahiay ....

Haan I accept k atleast they are better than those jo bilkul hee namaz nahi parhtay .... lakin humain Quran e Pak ki wo Ayat bhi yaad rakhni chahiay aur iss pay ghor kartay rehna chahiay k kaheen hum uss category mai to nahi aatay? ayat e mubarakah ye hai

"Aur unki namazain unn k moonh pay maar dee jaain gee"
(quote karnay mai ilfaz kuch aagay peechay huay hon to Allah mujhay muaaf karain, but iss ka mafhoom yahi hai aur moonh pay marnay wali baat bhi aisee hee hai)

Quran mai aata hai k namaz burai aur bai-hayai k kamo say rokti hai ....

Abb jiski namaz usay din mai 5 dafa 5 to 10 mins say zyada bai-hayai k dress say dur na rakh sakay .... uss namaz ka I think utna faida nahi ho ga jitna k namaz ka faida hona chahiay ....

baki Allah better janain .....

end pay jo aap nay dua mangi ... uss pay .... Aameeen :) !!!!

Umar
05-10-2006, 08:27 PM
haan iss baat say to mai agree karta hoon k hum kisee ko kuch keh nahi saktay .... coz pata nahi kon kiss kadar sachay dil say namaz adaa kar raha ho ..... lakin personally mujhay atleast ye acha nahi lagta k jab aik larki ye samajhti hai k jo libaas uss nay pehna hai wo Islam k laihaaz say theek nahi .... then usay wo pehanna hee nahi chahiay .... humaray pass clear teachings mojoood hain, unn k mutabik satar-poshi ki jaay .... thats the best ....

wesay to Sanya aik namaz wo bhi huee thi .... jiss ki IMAMAT aik aurat nay karvai thi .... wo namaz New York mai huee thi .... Namaz e Jumma thi wo .... duniya bharr k Aalimo nay uskay against fatway diay thay ..... k aisa jaaiz nahi hai .... aurat namaz ki imamat nahi karva sakti ..... kisee Masjid waalon nay unhain namaz adaa karnay ki in this way permission nahi dee to unho nay wo namaz aik Church mai karvai thi ..... mainay uss namaz ki pics dekhi theen ..... aik larki, jogers samait, jeans pehnay huay .... galay mai naam ka dupatta (means na honay k barabar) liay huay .... Azan dai rahi thi ....

Abb iss cheez ko dekh k hum ye nahi keh saktay k unki neeytain pata nahi kya theen aur hum unhain kuch nahi keh saktay .....

haan aap jinn ladies ki baat kar rahi ho .... no doubt unka namaz wala amal bohat acha hai .... unn khawateen k sath unkay bachay bhi namaz ki taraf aatay hain .... ye bohat achi baat hai ..... but iss achi baat k sath jo buri baat hai usay bhi point out karna humara farz hai .....

Mai NAUZUBILLAH unn ki neeyat pay shak nahi kar raha .... k wo sahi Muslim nahi .... mai aisa nahi sochta ..... unki neeyat sahi ho gee yakeenan .... but jo aik visible ghalat baat hai .... we need to accept that and point it out !!!!

haan aap nay sahi kaha k hum bahanay banatay hain namaz na parhnay k ...... lakin wahan k logon mai aisa nahi .... ye bohat bari baat hai yakeenan n we should try to follow them .... lakin sirf achi baton mai :) !!!!!!!!

Rida
05-10-2006, 08:42 PM
Msshalah!!!!how beautiful......it looks rely nice by the side of sea!!!!nice pictures.

Umar
05-10-2006, 09:54 PM
thanx Rida :) !!!!
Congratulations .... Senior Member bannay pay :) !!!!!!!!!!!!!!

Wahab
05-11-2006, 09:29 PM
I LOVE ALL THESE MOSQUES ..! ... itni achi hainnnnnnnnnnnnnnn .....!
MashAllah ! ..

Umar
05-11-2006, 10:28 PM
thanx wahab - JAZAKALLAH :) !!!!

Chocolate Girl
05-12-2006, 09:58 PM
theres a masjid in italy? :eek:

Umar
05-13-2006, 12:07 AM
yes .... there is CG ....
iss mai aisa kya hai :) wahan bhi to Muslims haina ..... :) !!!!

Umar
05-14-2006, 08:40 PM
haan Sanya u r exactly right .... k ye sab intahai ghalat tha aur mujhay bohat khushi huee aap k knowledge k baray mai jaan k keh apko itna kuch pata hai .... MASHALLAH :) !!!!

mai try karooon ga k wo pics mujhay mil jaain, i will share that here ..... !!!!

Umar
05-16-2006, 03:20 PM
MASHALLAH bohat bohat acha laga sunn k keh aap aur apki mama ki kitni religious soch hai .... aur aap nay jo religious courses kiay hain unka faida na sirf iss duniya mai balkay aakhirat mai bhi ho ga INSHALLAH :)

ji bass dua karo wo pics mil jaain net pay ..... :) !!!!

Umar
06-20-2006, 05:33 PM
exactly sanya .... u r right :) but atleast u r better than those jo iss pay amal nahi kartay :) !!!!!!!!!

Umar
06-20-2006, 09:50 PM
hmm u r right :)
atleast koshish should be there na :) but there are some people who don't even try to make that koshish :) !!!!!!!!!!

Umar
06-21-2006, 11:34 PM
INSHALLAH aa jaay gee .... aap meray liay bhi dua kia karo k Allah mujhay seedhay rastay par chalnay ki taufeeq ataa karain .... Aameeeeeeeeen :)

Wahab
05-09-2007, 08:45 PM
MashAllh ...... bohut khoob soooret ..... bohut zada ......

Madu
05-09-2007, 10:58 PM
all of them r realllllyyyyyyyyy beautiful MashaAllah
Masjid tu chahay jaisi bhi ho uss ka aik apna RAUB hota hai..........(i dont know main nay word RAUB sahi use kia hai ya nahi)

Umar
05-22-2007, 11:28 AM
Bilkul sahi use kia hai ye word aap nay Madiha :)
JAZAKALLAH - Thanks for liking the post!