PDA

View Full Version : Jaoon Kahan...?


Tahir
01-19-2006, 01:00 AM
naye kapray badal kar jaoon kahan
mein baal banaon kis kay liye
meri janam mayoon beth gayee
mein bahar jaoon kis kay liye

meray dil mein jis ki chahat thi
wo aur kisi ki honay chali
ab us kay chotay bhai ko
mein cheez dilaun kis kay liye

mein nay us kay liye kia kia na kya
galion galion manjan becha
ab tang si us ki galion mein
mein pheray paoon kis kay liye

har mah tankhwah per face facial
aur frequently baloun ki cutting
har roz subha kit shit kar kay
mein college jaoon kis kay liye

jab us say meri setting thi
tab us kay apney meray thay
ab asey wesay logoun kay
mein naaz uthaoon kis kay liye

har khwahish chakna choor huwee
aur khuwab bhi saray toot gaye
ab us kay motay abba say
mein haath milaoon kis kay liye