Husn-e-baazar hua kya ki hunar khatam hua
aaya palkon pe to aansoo ka safar khatam hua

umr bhar ussey bichadney ki kasak hi na gayi
kaun kahta hai ke muhabbat ka asar khatam hua

jaa hamesha ko mujhe chor ke jaane waaley
tujhse har lamha bichadney ka to dar khatam hua