Zulf ki khushboo zara payee to tum yaad aa gaye
Yaani shaamat dil ki jab aayee to tum yaad aa gaye
Apni ik ik aarzoo se apne har har armaan se
Naak jab hum ne ragadwayee to tum yaad aa gaye
Paanch sala tak-e-ulfat ka tha mansooba magar
Paanch mai se reh gaye dhai to tum yaad aa gaye
Zulf ho ya ke shabe furqat ho dono hain bala
In mai koi mere sar aayee to tum yaad aa gaye
Jisqadar gham dil mai thay sab ashk ban ker beh gaye
Band ker di dil ne supply to tum yaad aa gaye
![]()


LinkBack URL
About LinkBacks





Reply With Quote
